Ballimaran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
Samne taal ke nukkad par bateron ke kaseede
Gudgudati hui pan ki peekon mein wo daad wo wah wah
Isee Benoor andheri see gali kaasim se Ek tarteep charagon ki shuroo hoti hain
ek Kurane sukhan kaa safaa khultaa hai asadullah khan Ghalib ka pata milta hai…
(My visit to Ghalib's haveli at ballimaran, Chandni Chowk on 16.02.2011)Mirza Ghalib ...
na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota
duboyaa mujh ko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab gham se yuun behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar judaa tan se to zaannon par dharaa hota
hui muddat ke 'ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kahna ke yuun hota to kya hota
2 comments:
was immersed in astate of ecstasy gelled with delight after going through this post .............
IT IS DIFFICULT FOR EVERY TASK TO BE EASY,
JUSTAS
IT IS NOT POSSIBLE FOR A MAN TO BE ALWAYS HUMAN........GHALIBS POETRY
Read letters of Ghalib translated by Ralph Russel if u havent read it....
a perfect tribute to the great poet.indeed a journey through the memory lane ,those forgotten days of the serial -MIRZA GHALIB.
Post a Comment